Wednesday, February 5, 2014

Ik Pyaar Ka Naghma Hai Song Lyrics - Shor (1972)

Listen and view songs with lyrics of Ik Pyaar Ka Naghma Hai Song Lyrics From Shor (1972) Bollywood Hindi Movie. The song has been sung by Lata and Mukesh. Music of this song has been composed by Laxminkant Pyarelal and Lyrics penned by Santosh Anand.


Song Title : Ik Pyaar Ka Naghma Hai
Movie: Shor (1972)
Singers: Lata, Mukesh
Lyrics: Santosh Anand
Music Director: Laxminkant Pyarelal

Ik Pyaar Ka Naghma Hai Song Lyrics:

hmm hmm hmm
hmm
ik pyaar kaa naghmaa hai, maujon ki rawaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai, maujon ki rawaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai, maujon ki rawaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai
lalalala lalalala
kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
jeewan kaa matlab to, aanaa aur jaanaa hai
do pal ke jeewan se, ik umr churaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai
tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
aankhon mein samandar hai, aashaaon kaa paani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai
toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
parchhaayiyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai,maujon ki rawaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
ik pyaar kaa naghmaa hai

No comments:

Post a Comment

Free Download Songs
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...